Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Abu  Ishaaq Shami

 

Rahmatullah Alayh

 

Aap ka ism e graami Hazrat Sheikh Abu Ishq Shami  Rahmatullah Alayhaur laqab Sharf al Deen tha. Zahiri aur baatini aloom mein mumtaz thay. Zuhad o riyazat mein be misaal, Khalq se beniaz aur khaaliq se hi humraaz thay. Hazrat Sheikh Abu Ishq Shami  Rahmatullah Alayh  darveshon se mohabbat karte thay aur Aulia Allah mein mumtaz maqam rakhtay thay .

Hazrat Sheikh Abu Ishq Shami  Rahmatullah Alayh ne Khirqah khilafat Hazrat Khwaja Alvi  Rahmatullah Alayh se paaya tha.' 'Miraag ul Fuqrah ' ' ke misdaaq hamesha roza se rehtay aur saat din baad aftaar kya karte. Mureed honay se pehlay chalees din tak isstikhara karte rahay. Hatef e ghaibi ne Alo  Rahmatullah Alayh ki khidmat mein haazri ka ishara diya to un ke khidmat mein haazir hue. Saat saal baad takmeel ko puhanche aur khilafat aataa hui .

Hazrat Sheikh Abu Ishq Shami  Rahmatullah Alayh ke pairo murshid Hazrat khwaja Alvi  Rahmatullah Alayh ne aap ko yeh basharat di kay ahal chisht ke imam bano ge. Chunancha aap  Rahmatullah Alayh apne watan chisht wapas aaye to' ' qutub chishtia' ' ke laqab se mashhoor hue. Aap  Rahmatullah Alayh ko Samaa se be had lagao tha. Aap  Rahmatullah Alayh ki majlis mein anay walay har shakhs par wajad taari raha karta .

Aik baar qeht par gaya. Hazaron log Hazrat Sheikh Abu Ishq Shami  Rahmatullah Alayh ki khidmat mein haazir hue aur baaraan e rehmat ke liye dua talab ki. Hazrat Sheikh Abu Ishq Shami  Rahmatullah Alayh ne mehfil Samaa barpaa ki jab aap wajad mein aaye to aasman par baadal ghar aaye aur is qader barish hui kay log is ke roknay ki duain mangnay lagey. Log dobarah aap ki khidmat mein haazir hue aur barish roknay ki istada ki. Hazrat Sheikh Abu Ishq Shami  Rahmatullah Alayh ne farmaya agar dil bhar gaya hai to barish ruk jaye gi. Jis ke baad barish ruk gayi .

Aap is daar e faani se 329 Hijri ko rukhsat hue. Aap ka mazaar mubarak shehar Shaam mein hai. Sair ul Kataab  ke musannif ne likha hai kay aap  Rahmatullah Alayh ke wisaal se leker aaj tak aap ke mazaar par aik chairag roshan hai jo kabhi nahi bujha yeh chairag shaam se subuh tak roshan rehta hai. Bad o baran ka kayi baar tufaan aaya magar raat ke waqt kabhi is chairag ko Gul nahi kar saka.